Kon badlay ga taghazal ki fiza meray baad
Kon aandhi main jalaye ga diya meray baad
Mujh se behtar to huye shola nawa meray
Meray jaisa na koi aur hua meray baad
Kon honton se kare ga teri raahon ko salaam
Kon choomay ga yeh naqash-e-qaf-e-paa mere baad
Kon ban jaye ga mehtaab-e-barhana par ghatta
Kon dhaampay ga tujhay misl-e-qaba mere baad
Kon samjhay ga tujhay apnay sukhan ka ilhaam
Kon de ga tujhay tazeem-e-hira mere baad
Faisala likh kay qalam tor diya musif ne
Phir mohabbat ki na di koi saza mere baad
Haath phaila kay yahi waqat munasib hai "Adeem"
Kiya kare gi teray honton ki dua meray baad
Poet : Adeem Hashmi
No comments:
Post a Comment