Majboori ki aik baat
Haan ab tum bhi
Apnay saray wadon
Aur thandhak ponchanay wali baaton kay hamraah
Mujhay pyasa hi rakho gay
Yeh jazbay bhi bheegi hui awaaz
Meray maathay ko jitni baar choo'ey gi
Us ki tapish barh jaye gi
Ahista ahista
Meray tan pe honay aur phisalnay wali
Yeh baarish
Yeh aag
Jis ki thandhak
Jis ki hiddat
Ab bhi tumhari poron main hai
Meray shano pe sar rakhaye
Tum jo youn aankhain mondaay kuch sochtay ho
Is lamhay is chehray par
Kaisi sairabi , kiya asoodagi tair rahi hai
Main naadim hoon
Yeh kaifiyat
Tumhain meray lehjay aur meray chehray main
Kabhi nazar nahin ayi
Jaan !
Tumhain shayed na khabar ho
Baaz mohabbatein Apnay blood group main
"O-" hoti hai
Parveen Shakir
No comments:
Post a Comment