Mujhay tum achay lagtay ho
Tumhari guftagoo main
Beesvein sadi ki athveen dehai ko samjhnay walay zehan ki chamak hai
Aur tumharay lams main
Woh garam taazgi hai
Jo badan kay saray mousamon ko sabaz rakhti hai
tumharay baazo'on pe sar rakhay
MAin zehan aur jisam ka wisaal dekhti hoon
Magar tumharay aur meray darmiyaan
Zamano aur umron
Aur apnay apnay tabqay kay mufaad ka jo boad hai
Ussay phalangana
Na maeray bas main hai
NA tum main is ka hosla
Mufahmat ki goal maiz par
Kabhi sumaal aur junoob kay muzakaraat ki tarah
Hamari sab daleelain
Aik doosray pe shak karain gi
Aur kabhi janoob aur janoob ki ghulaam behas-e-khaam ki tarah
Aik doosray kay khabs-e-baatani ka neel print
Dhoondtay rahain gay hum
So aafiat isi main hai
Keh hum andheray main rahain
Aur apnay apnay tunes winner se
Taaluqaat theek rakhain
Tumharay aur meray ico'topis se
Tabkaar nafraton ki zad main aik haar aa gaye
To phir mohabbaton ka ikhtiyaar khatam samjho
Parveen Shakir
No comments:
Post a Comment