Aug 14, 2014

Mera jazb-e-dil mere kaam aa gaya hai


Mera jazb-e-dil  mere kaam aa gaya hai 
Madeenay se aakhir payaam aa gaya hai 

Jahan zikar-e-khair-ul-anaam aa gaya hai 
Labon pe darood-o-salaam aa gaya hai 

Chaman main jo woh khush khraam aa gaya hai 
Baharon ka goya payaam aa gaya hai 

Kaha jis ki aamad pe insaniyat ne 
Keh khair-ul-bashar-ul-kalaam aa gaya hai 

Sitaron ko tabindagi bakhsanay ko 
Ufaq pe woh maah-e-tamaam aa gaya hai 

Azal se zamana tha mushtaaaq jis ka 
Woh mehboob bala-e-baam aa gaya hai 

Khuda kay karam ki kramat to dekho 
Karam ban kay raas-ul-karaam aa gaya hai 

Koi kaash aa kar inayat se keh day 
Ghulamon main tera bhi naam aa gaya hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...