Aug 14, 2014

Tera hukam is main agar na ho


Hamd-e-bari taala

Tera hukam is main agar na ho 
Kisi raat ki bhi sehar na ho 

Jo mata-e-ilm-o-yaqeen mile
Mera mud'dua kabhi zar na ho 

Mujhay ashna-e-jamaal kar 
Gham-e-do jahan ki khaber na ho 

Jo kabhi ho tujh se guraiz paa
Koi tera aisa bashar na ho 

YEh nahin keh tujh ko pukaron jab 
To meri dua main asar na 

Teri hamd kay ho baghair jo 
Koi saa'at aisi basar na ho 

Teray zikar se hai youn khaali dil 
Keh sadaf main jaisay gohar na ho

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...