Aug 25, 2014

Mere dil mere musaafir



Mere dil mere musaafir

Hua phir se hukam saadir

Keh watan badar hon hum tum 

Dain gali gali sada'ein 

Karain rukh nagar nagar ka 

Keh guraagh koi payein 

Kisi yaar-e-nama'bar ka 

Her ik ajnabi se poochain 

Jo pata tha apnay ghar ka 

Sar-e-koo-e-na, shanaiyaan 

Hamain din se raat karna 

KAbhi si se baat karna 

KAbhi us se baat karna 

tumhain kiya kahoon keh kiya hai 

Shab-e-gham buri balaa hai 

Hamian yeh bhi tha ghaneemat 

Jo koi shumaar hota 

Hamain kiya bura tha marna 

Agar ik baar hota 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...