Aug 25, 2014

Phool to aakhir phool hi thay


Us ne mere haath main baandha 

Ujla kangan baili ka 

Pehlay pyaar se thaami kalaai

Baad is kay hole hole pehnaya 

Gehna phoolon ka 

Phir jukh kar haathon ko choom liya 

Phool to aakhir phool hi thay 

Murjhaa hi gaye

Lakin meri raatein un ki khushboo se ab tak roshan hain 

Baanhon par woh lams abhi taktaza hai 

(Shaakh-e-snobar par ik chaand damakta hai )

Phool ka gehna 

Prem ka kangan 

Pyaar ka bandhan 

Ab tak meri yaad kay haath lipta huya hai



 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...