Nigah-e-shouq se hum ne tumhain ek baar dekha tha
Koi jazba tha pehli baar jissay be'daar dekha tha
Bara sasta zamana hai yahan ab log biktay hain
Tera soda bhi hum ne kal sar-e-bazaar dekha tha
Woh jis kay hont par her dam saji muskaan rehti thi
NA janay kiyon ussay main ne bara baizaar dekha tha
Roz-o-shab badalnay main bhala kiya dair lagti hai
Ko takht-o-taaj rakhtay thay unhain la'chaar dekha tha
Hum apnay dost dushman ki khabar jo rakh nahin paaye
Usi ne waar kar dala jissay gham'khwaar dekha tha
No comments:
Post a Comment