Ik shakhs kay kho janay ka dar kiyon nahin jaata
Yeh bojh mere dil se utar kiyon nahin jaata
Manzil pe ponch kar bhi ussay khona paray ga
Yeh teh hai to phir shouq-e-safar kiyon nahin jaata
Main jab bhi trashon , tera paikar hi traashon
Yeh zouq-e-nazar , yeh shouq-e-hunar kiyon nahin jaata
Yeh waqat tujhay mujh se juda kar to raha hai
Yeh waqat isi waqat tehar kiyon nahin jaata
Gar tujh se bicharnay ka hai ranj mujhay itna
To main shiddat-e-jazbaat se mar kiyon nahin jaata
No comments:
Post a Comment