Pasbaani pe andheray ko to ghar par rakha
Aur chraghon ko teri raah guzar par rakha
Reh gaya haath sada teegh-o-sapar par rakha
Hum ne her raat ka anjaam sehar par rakha
Haath uthaye rahay her lamha dua ki khatar
Aur alfaaz ko teeg-e-asar par rakha
Be'wafai meri fitrat kay anasar main hui
Teri be'mehri ko asbaab-e-dagar par rakha
Itna asaan na tha warna akelay chalna
Tujh se miltay rahay aur dehaan safar par rakha
Us ki khushboo ka hi faizaan hain ashaar apnay
Naam jis zakham ka hum ne gul-e-tar par rakha
Pani dekha , na zameen dekhi , na mousam dekha
Be'samar honay ka ilzaam shajar par rakha
Parveen Shakir
No comments:
Post a Comment