Zindagi ke melay main
Khwaishon ke railay main
Tum se kiya kahain jana
Is qadar jhamailay main
Waqat ki rawani main
Bakhat ki garani main
Sakhat be-zamini hai
Sakhat la'makani hai
Hijar ke samandar main
Takhat aur takhatay ki
aik hi kahani hai
Tum ko jo sunani hai
Baat go zara se hai
Baat umar bhar ki hai
Umar bhar ki batain
Kab do ghari main hoti hain
Dard ke samandar main
Be-sumaar moti hain
Ankh ke dareechay main
Tum ne jo sajaya tha
Baat us diye ki hai
Baat us gilay ki hai
Jo lahoo ki khalwat main
Chor ban ke ata hai
Lafaz ki faseelon par
Toot toot jata hai
Zindagi se lambi hai
Baat rat'jagay ki hai
Rastay main kaisay ho
Baat takhliye ki hai
Takhliye ki baton main
Guftagoo izaafi hai
Piyaar karnay walon ko
Ik nigah hi kafi hai
Ho sakay to sun jayo
Aik din akelay main
Tum se kiya kahin jana
Is qadar jhamailay main
No comments:
Post a Comment