Aug 20, 2014

Phir usi khwaab ne be'chain kar diya ho ga


Phir usi khwaab ne be'chain kar diya ho ga 
Neend main hi sahi mera naam jab liya ho ga 

Kon aata hai kisi se is tarah milne 
Mera khyaal tere dil main aa gaya ho ga 

Kuch to hai tere mere darmiyaan kahin 
Ek baar sahi dil zor se dharka ho ga 

Kabhi yaad jo ayi ho gi tanhai main 
Laakh roka magar ek aanso to tapka ho ga 

Ishq zaahir na ho zubaan se magar 
Sab aankhon ne keh diya ho ga 

Rishtay bantay hain aasmano main 
Tera mera bhi teh hua ho ga 

Dil main tasveer kisi ki "Zahid"
Haan yaqeenan tumhain pata ho ga

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...