Aug 18, 2014

Raat kay aakhir hotay hotay khatam tha yeh afsana bhi


Awal shab woh bazam ki ronaq-e-shamma bhi , parwana bhi 
Raat kay aakhir hotay hotay khatam tha yeh afsana bhi 

Qaid ko tor kay nikla jab main , uth kay bagolay sath huye 
Dasht-e-adm tak jungle jungle , bhaag chala parwana bhi 

Haath se sagar kis ne tapka, mousam ki be'kaifi par 
Itna barsa toot kay baadal doob chala mah'khana bhi 

Laag main husan-o-ishq ki aksar chairr udhar se hoti hai
Shamma ka shola jab lehraya , urr kay chala parwana bhi 

Gunchay chup hain , gul hain hawa par kis se kahay dil ka haal 
Khaak nasheen ik sabza hai ,  apna bhi be'gana bhi 

Aik lagi kay do hain asar , dono hasb-e-muraatab hain 
Lo jo lagaye shamma pari hai , raqs main hai parwana bhi 

Dour-e-musarat aarzoo kaisa zal'zala ageen tha 
Haath se mun tak aatay aatay choot para paimaana bhi 

Poet : Arzoo Lakhnavi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...