Aug 1, 2014

Rait se buut na banana ae mere ache funkaar


 Rait se buut na banana ae mere ache funkaar

ik lamhe ko thahar main tujhe patthar laa dun
main tere samane ambaar laga dun lekin
kon se rang kaa patthar tere kaam aaye ga
surkh patthar jise Dil kehti hai bedil duniya
Ya wo pattharai hui aankh ka Neela patthar
jis mein sadiyon kay tahayur kay paray hon Dore

kya tujhe Rooh kay pathar ki zaroorat ho gi
jis pe haq baat bhi patthar ki tarah girti hai
ik wo patthar hai jise kehte hain tahaziib-e-safed
Us k mar_mar mein siyah khoon jhalak jata hai
ik insaaf ka patthar bhi to hota hai magar
haath mein tesha-e-zar ho to wo hath aata hai

jitne mayaar hain is daur k sab pathar hain
sher bhi raqs bhi tasveer-o-ginaa bhi patthar
mere ilhaam tera zahan-e-rasaa bhi patthar
is zamaane mein har fan ka nishaan pathar hai
hath patthar hain tere merii zuban pathar hai
rait se buut na bana ay mere ache funkaar

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...