Aug 1, 2014

Woh koi aur na tha chand khushk pattay thay


Woh koi aur na tha chand khushk pattay thay 
Shajar se toot kay jo fasl-e-gul pe roye thay 

Abhi abhi tumhain socha to kuch na yaad aya 
Abhi abhi to hum ik doosray se bichray thay 

Tumharay baad chaman par jab ik nazar daali 
Kalli kalli main khizaan kay  chragh jaltay thay 

Tamaam umar wafa kay guna'gaar rahay 
Yeh aur baat keh hum aadmi to achay thay 

Woh ik baar meri hayat se tha jin ko payaar 
Jo zindagi se guraizan thay roz martay thay 
 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...