Aug 27, 2014

sm’metien kho gaye hain ya phir hawa se aagey nikal gaye hain


yeh jo hum apnay hi dil ki madham sadaa se aagey nikal gaye hain

sm’metien kho gaye hain ya phir hawa se aagey nikal gaye hain


jali hoi sard ungliyoun se sanam kaday kar diye hain roshan


khuda ke kuch ba’kmaal banday khuda se aagey nikal gaye hain


hum ab kissi azeem chahat ke surkh rastay pe gaamzan hain


muqaam-e- ajar-o-sawaab guzra saza se aagey nikal gaye hain


ae husan ky la’zwaal sooraj tu ab inhien dhoop de ke chaaon


teri mohabbat ky rahii teri ataa se aagey nikal gaye hain


meray liye ab yeh teray sajday ye teray aansoo fazool shay hain


meri tabahii ky silsilay ab dua sey aagey nikal gaye hain


raza-o-tasleem ky  karray imtehaan mein ae khaaliq-e-do-aalam


fraat ke ghasibaoun se teray yeh pyasay aagey nikal gaye hain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...