yeh jo hum apnay hi dil ki madham sadaa se aagey nikal gaye
hain
sm’metien kho gaye hain ya phir hawa se aagey nikal gaye hain
jali hoi sard ungliyoun se sanam kaday kar diye hain roshan
khuda ke kuch ba’kmaal banday khuda se aagey nikal gaye hain
hum ab kissi azeem chahat ke surkh rastay pe gaamzan hain
muqaam-e- ajar-o-sawaab guzra saza se aagey nikal gaye hain
ae husan ky la’zwaal sooraj tu ab inhien dhoop de ke chaaon
teri mohabbat ky rahii teri ataa se aagey nikal gaye hain
meray liye ab yeh teray sajday ye teray aansoo fazool shay hain
meri tabahii ky silsilay ab dua sey aagey nikal gaye hain
raza-o-tasleem ky karray imtehaan mein ae khaaliq-e-do-aalam
fraat ke ghasibaoun se teray yeh pyasay aagey nikal gaye hain

No comments:
Post a Comment