Aug 25, 2014

Tere bas main nahin mere bas main nahin


Meri afsurdagi se parishaan na ho 

Tu meri talkhiyon ka sabab to nahin 

Teri aankhain to meri hi dam saaz hain 

Thein kabhi ajnabi lakin ab to nahin 

Tujh ko meri mussarat muqadam sahi 

Tera gham mujh ko wajah-e-tarab to nahin 

Tera ehsaan hai tu ne mere liye 

Apni palkon se raahon kay kaantay chunnay 

Khud karri dhoop main reh kay mere liye 

Tu ne zulfon kay sha'daab saaye bunnay 

Meri khatar zamanay ko pagal kaha 

Meri khatar zamanay kay tah'nay sunnay 

Tu meri zindagi hai magar jaan-e-mann

Ab woh ishq-o-mohabbat ki rasmain nahin 

Meray dil main kai ghaayo aisay bhi hain 

Jin ka darmaan teri das'taras main nahin 

Ek gham jis ki shiddat hama geer hai 

Tere bas main nahin mere bas main nahin

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...