Hamd-e-bari-ta'ala
Usi ka hukam jaari hai zameeno aasmano main
Aur un kay darmiyaan jo hain , makeeno aur makaano main
Hawa chalti hai baaghon main to us ki yaad ati hai
Sitaray, chaand suraj hain sabhi us kay nishaano main
Usi kay dam se teh hoti hai manzil khwaab-e-hasti ki
Woh naam ik harf-e-norani hai zulmat kay jahano main
Usi kay paas israar jahan ka ilam hai sara
Wohi bar'paa karay ga hashar aakhir kay zamano main
Woh kar sakta hai jo chahye , woh her ik shay pe qaadar hai
Woh sun sakta hai raazon ko jo hain dil kay khazano main
Bacha leta hai apnay doston ko khouf-e-baatil se
Badl deta hai sholon ko mehaktay gulistaano main
Muneer is hamd se rutba ajab hasil hua tujh ko
Nazeer is ki mile shayed puraani dastaano main
No comments:
Post a Comment