Aug 5, 2014

Yeh dukh nahin keh andheron se sulah ki hum ne


Chragh mangtay rehnay ka kuch sabab bhi nahin 
Andhera kaisay bataein keh ab to shab bhi nahin 

MAin apnay zaham main aik baaz yafat par khush hoon 
Yeh waqiya hai keh mujh ko mila woh ab bhi nahin 

Jo merau shair main mujh se ziada bolta hai 
MAin us ki bazam main ik harf zer-e-lab bhi nahin 

Aur ab to zindagi karnay kay so tareeqay hain 
Hum us kay hijar main tanha rahay thay jab bhi nahin 

Kamaal shakhs tha jis ne mujhay tabbah kiya 
Khilaaf us kay yeh dil ho saka hai ab bhi nahin 

Yeh dastakein , yeh meri zindagi ki aadhi raat 
Hawa ka shor samjh loon to kuch ajeeb bhi nahin 

Yeh dukh nahin keh andheron se sulah ki hum ne 
Malaal yeh hai keh ab subha ki talab bhi nahin 

Hisaab-e-dar'bad'ri tujh se maang sakta hai 
Ghreeb-e-shaher magar itna be'adab bhi nahin

Hamain bhout hai , yeh sadaat ishq ki nisbat 
Keh yeh qabeela koi aisa kam nasab bhi nahin 

Parveen Shakir 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...