Yeh kaisa izn-e-takalam hai jis ki taab na ho
Sawaal karnay diya jaye aur jawaab na ho
Agar khloos ki doulat kay goshawaray banain
To shaher bhar mian koi sahib-e-nisaab na ho
Hara hai zakhm-e-tamana to ashk kaisay thamian
Bahaar mailay main kiyon shirkat-e-gulaab na ho
Hamain to chashma-e-hewaan bhi koi dikhlaye
To tajurba yeh kahay ga , kahin saraab na ho
Hamari be'jehti ka koi jawaaz nahin
Yeh dukh to us ka hai jin ki koi kitaab na ho
Zameen apni mohabbat main be'gharz to nahin
Yeh ayr baat keh her haath ka hisaab na ho
Aik aisi titli kay bachay kay lams se mehroom
Woh neend jis kay ta'aqub main koi khwaab na ho
HAi masla meray suraj mukhi qabeelay ka
Keh subha niklay magar saath aftaab na ho
Chraagh taaq-e-tamana main rakh kay bhool gayi
Dua woh maang rahi thi jo mustajaab na ho
Kabhi na tang ho us pe zameen ka daman
Ameer-e-shaher agar asmaan janab na ho
Hamaray qeht main aur barishain bhi poori huyein
Hamaray naam ka ab to koi azaab na ho
Sakoot-e-khalq samandar ki neend hota hai
Sakoon na jaan ba'zahir jo iztaraab na ho
Yeh chashm-e-nam hai issay khushk dekh bhaal kay kar
Hari bhari koi basti hi zer-e-aab na ho
Bas ik naam ka tara sada chamkata rahay
Gila nahin jo muqadar main mehtaab na ho
Parveen Shakir
No comments:
Post a Comment