Sep 2, 2014

Aankhon main ab bhi teri tasveer naachti hai


Jo mil saki na mujh ko jageer naachti hai 
Aankhon main ab bhi teri tasveer naachti hai 

Apna bana kay tujh ko ghar to basa loon lakin 
Sar pe musafarat ki shamsheer naachti hai 

Bach kar nikalna chahon lakin nikal na paaon 
Yaadon ki teri her soo tanveer naachti hai 

Hum sokhta dilon ka kiya haal poochtay ho 
Her roz sar pe koi tazeer naachti hai 

Paish-e-nazar hamaray khwaabon ki kirchiyaan hain 
Aur aainay ki surat tabeer naachti hai 

Aati hai samnay khud manzil tawaaf karti 
Jazbay ki jab lahoo main taseer naachti hai 

Kiya ho gaya hai tum ko kuch na baatao baabar
Maathay pe kiyon shikan ki zanjeer naachti hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...