MAin idhar hoon yeh dil udhar kiyon hai
Aashnaai ka yeh safar kiyon hai
Mout ko un kay baad aana tha
Haadsa phir yeh paishtar kiyon hai
Mujh ko mujrim to kar diya saabit
Us kay chehray pe itna dar kiyon hai
Mujh ko jalana hai raat bhar lakin
Aandhiyon ki idhar nazar kiyon hai
Ghar se nikla tha manzalon kay liye
Meri manzil mera hi ghar kiyon hai
Zindagi phool chun rahi thi jo
Aaj kanton ki saij par kiyon hai
Jis kay gham main hoon mubtala "Gulshan"
Woh mere ghar se be'khabar kiyon hai
No comments:
Post a Comment