Sep 14, 2014

Ae insaan tu hi bata


Poocha keh ik bichray taaray ne
Ae insaan tu hi bata 
Keh insaan kab rota hai ?
Main aik lamhay ko kho si gayi
Aur wajuhaat ko sochti rahi
Koi apna bichar jaye tab ?
Koi apna dukh dy jaye tab ?
Koi apna na apnay tab ?
Koi apna bhout yaad aye tab 
Koi apna chor jaye tab ?
Koi apna bhout staye tab 
Koi apna kahin kho jaye tab ?
Koi apna jaan churaye tab ?
Koi apna kisi ka ho jaye tab 
Koi apna dukh uthaye tab 
Koi apna shiddat se chahaye tab ?
Koi apna dil main bas jaye tab?
Koi apna neend churaye tab ?
Koi apna dil dukhaye tab ?
Koi apna kahin mil jaye tab ?
Koi apna aankh churaye tab ?
Koi pana nain milaye tab 
Ya koi apna kahin mar jaye tab ?
Shayed yahi to woh baatain hain 
Jo beetay dino ki yaad main 
Aankhin nam kar jaati hain 
Palkain bheegi rehti hain 
Dil khoon kay aansoo rota hai 
Na jeeta hai na marta hai
NA raaton ko woh sota hai
Phir bhi tum yeh poochtay ho
Keh insaan kab rota hai 
Haan insaan tabhi to rota hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...