Udaasi barhnay lagti hai
Kisi yaad main gum sum , thaki haari
Sitaaron kay nagar se shaam jab bhi loat aati hai
Meri aankhon kay veeraan sehan main
Sar ko jhukaye chalnay lagti hai
Udaasi barhnay lagti hai
Meray kaano main jab bhi wasal kay lamhon ki
Ik aahat si aati hai
To meri , Hijar alooda si palkon par sitaaray jaag uth'tay hain
Kisi ki shakal banti aur bikharti hai
Udaasi barhnay lagti hai
Kabhi jab un'ginat sadiyon se chaltay qaaflon ka silsala
Mujh tak ponchta hai
To hijrat paaon se sar'goshiyan si karnay lagti hain
Udaasi barhnay lagti hai
Main jab bhi raah'guzaaron ki kahaani parhnay lagti hoon
Kisi ki yaad meray ghar ki dewaaron pe
Nangay paaon aksar chalnay lagti hai
Udaasi barhnay lagti hai
To mujh ko dil kay be'maqsad dareechon
Taaqchon se jhaankti hai
Aur meray honton ki khamoshi se mujh ko maangti hai
Meray seenay pe phir yeh weshiyaana raqs karti hai
Yeh meray jisam kay kutbay pe koi lafz likhti hai
Udaasi roz barhti hai
No comments:
Post a Comment