Sep 24, 2014

Ae meharbaan hawa kiyon chalti hai itni tez


Ae meharbaan hawa

Kiyon chalti hai itni tez

Aik payaam bhaiga hai sanam kay naam

KAhin gum na ho jaye teri tezi main

Tham tham kar chal

Keh payaam hai payaam-e-wasal

NA poncha to hijar ki yeh lambi raat

Aur gehri ho jaye gi

Phir

Na janay

KAb wasal kay mousam ayein gay

Kab shab-e-hijar ki sawair ho gi

Aye meharbaan hawa

Zara tham tham kar chal

Keh wasal ka her lamha

Tujhay duaein dy ga

Teri madaah srai main aik umar guzaar dy ga

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...