Rang haye zaat
Safr ki ibtida se hi
Ajab andaaz ki aik tishnagi
Aankhon main raqsaan hai
YEh kaisi arzoo
Angraiyaan leti hai saanson main
Ba her lamha yeh khwaish
Khiltay jayein saray rozan , saray dar aur saari sachai nasal
se
Yeh dariya mujh par khul jaye
Samnadar mujh pe ho afshaa
Ridaye dasht ka
Aik aik zarha mera mehram ho
Pahaaron ki bulandi
Sar'nagoon ho meray qadmon par
Yeh feham-o-fikar se bhi mawraa
Afaaq ki wusat
Hisaar kanj-e-tanhai kay
Daaman main simat aye
Aroos-e-keh'kishaan
Meri hathaili pe ho khaima zan
Khulaasa yeh
Keh bazam-e-aalam-e-imkaan
Meri mutthi main aa jaye
Sar tishna niqaabi
Aaj yeh uqda khula mujh par
Meri aarzo'on kay pas-e-parda
Agar kuch hai to bas yeh hai
MAin apnay aap pe khul jaaon
Apnay aap ko dekhon
No comments:
Post a Comment