Architect
Main architect hoon
Aur naam bhi hai moh'tabar mera
Jadeed andaaz ki takhleeq
Ik pehchaan hai meri
Ba'fazal-e-rab
Khyalon ko kamaal-e-fun muyassar hai
Buland-o-bala meenarain
Imaraat-e-haseen
Bairaaj , pull
Kiya kiya nahin shah'kaar meray
Meri takhleeq par
Hum'asar meray rashak kartay hain
Yeh sab sach ahi
Magar mujh se kabhi
Ik hospital
Ban nahin paata
Yeh naqsha
Meray haathon se
Mukamal ho nahin paata
Bana leta hoon main sab kuch
Magar woh gosha-e-veeraan
Jo is ka juz-o-laazim hai
Woh mujh se ban nahin paata
Keh meri ungliyon se murda khana ban nahin paat a
No comments:
Post a Comment