Ajeeb log hain kiya khoob munsafi ki hai 
Hamaray qatal ko kehtay hain khud'kushi ki hai 
Yeh baank'pan tha hamara keh zulam par hamain 
Bajaaye naal-o-fariyaad shaairy ki hai 
Zara se paaon bhigoye thay dariya main 
Ghroor yeh hai keh hum ne shanawaari ki hai 
Issi lahoo main tumhara safeena doobay ga 
Yeh qatal-e-aam nahin . tum ne khud ' kushi ki hai 
Hamari qadar karo choudwein kay chaand hain hum 
Khud apnay daagh dikhaanay ko roshni ki hai 
Udaasiyon ko "Hafeez" aap apnay gharr rakhain 
Kiya anjuman ko zaroorat shaguftagi ki hai 
No comments:
Post a Comment