Kiyon hamain mout kay payaam diye jaatay hain
Yeh saza kam to nahin hai keh jiye jaatay hain
Hum hain ik shamma magar dekh , bujhtay bujhtay
Roshni kitnay andheron ko diye jaatay hain
Nasha dono main hai saaqi , mujhay gham dy kay shraab
Mai bhi pee jati hai , aansoo bhi piyea jatay hain
Tujh ko barson se kiyon hai tark-e-taaluq ka khayl
Faisalay woh hain jo pal bhar main liye jaatay hain
Apni tareekh-e-mohabbat kay woh hi hain "Saqraat"
Hans kar her saans par jo zehar piyea jaatay hain
Abgeeno ki tarah dil hain ghreebon kay "Faraz"
Toot jatay hain kabhi tor diye jaatay hain
No comments:
Post a Comment