Aye Rab-e-Mohammad
Subh-e-zulmat ka andhera barh raha hai
Talaash-e-maseeha ka
Shor uth raha hai
Khalqat-e-khudawand main
Toofan-e-karb-o-bala hai
Aye Rab-e-Mohammad " yeh kaisa
Shor-e-mehshar teray koochay main
Macha hai
Khair-e-ummat jissay quraan ne
Pukaara hai
Woh aaj kiyon duniya main
Be'sahara hai
Aye rab-e-kainaat
Kashti-e-islaam ko aap bacha
Keh is kay na'khuda bhi doob gaye hain
Aur
Patwaar bhi toot gaye hain
Sun le hum gunah'gaar ummat ki
Fariyaad aye moula
Keh tujh ko phir zakhmi rooh se pukaar ahai
No comments:
Post a Comment