Sep 24, 2014

Piyaas meri rooh ki jo tum bhujha sako



Kabhi jo tum loat kar aa sako 

To sang apnay 

Woh madaaratein 

Woh rat jagon ki subhain 

Woh adhoori si mohabbatain 

Woh lahoo lahoo chandani raatain 

Woh zakham hoti qurbatain 

Woh paniyon pe likhi 

Wafa ki daastaan 

Woh teray lams ki sar goshiyaan 

Woh teri muskaan ki jhil milaati roshniyaan 

Woh baad-e-saba ki udaasiyaan 

Woh meray aks ki kirchiyaan 

Woh lamhon main guzri hui sadiyaan 

Woh hashar barpa karti hui

Teri nazron ki mastiyaan 

Woh meray qadmon ki larkhraahatein 

Woh teri saanson ki dabi dabi si aahatain 

Woh meray muqadar ki vasal subhatain 

Woh wafa pe lagi tohmatain 

La sako to khudara 

Letay aana

Main muntazir milon ga 

Saahil kay usi kinaaray par 

Jahan toot gaya tha 

Hamaray rishtay ka 

Kacha dhaaga 

KAbhi tum loat kar aa sako 

Piyaas meri rooh ki jo tum bhujha sako

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...