Sep 6, 2014

Azaad-e-deed mein aankhain lahoo lahoo kar kay



Azaad-e-deed mein aankhain lahoo lahoo kar kay
Mein sharam saaz huwa teri justajoo  kar kay


Kander ki  teh say bareeda badan sarron kay siwa
Milla na kuch bhi khazanoon ki aarzo kar kay


Suna hay shaher mein zakhmi diloon ka mela hay
Chalein hum bhi magar phirhain  rafoo kar kay


Musafat-e-shab-e-hijraan kay baad bhaid  khula
Hawa dukhi hay , chiraghon ko be-aabru  kar kay


Zameen ki piyaas ussi kay lahoo ko chaat gaye
Woh khush huwa tha samundar ko aa’baju kar kay



Yeh  kis nay hum sey lahoo ka khiraaj phir maanga
Abhi to soye thay maqtal ko sur'khuru kar kay


Jaloos-e-ahl-e-wafa kis kay dar peh puhancha hay
Nishan-e-tooq-o-fa-zeenat gilu kar kay


Ujaar rutt ko ghulabi banaye rakhti hay
Hamari aankh teri deed say wuzu  kar kay


Koi  to habs-e-hawa say yeh pochta mohsin
Milla hay kia ussey kali'yon ko be-namu kar kay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...