Sep 13, 2014

Baarish


Baarish

Hawaein munjamind si hain

Abar ne zameen-e-jaan ko ghair rakha hai

Magar phir bhi sehra kay tashna lab pe

Ik khumaar taari hai

Woh jo ablay jaan rahay thay

teri raah main chaltay chaltay

Ajab ik sakoon mehsoos kartay hain

Main door se uth'ti badli ko dekhta hoon

Keh shayed meray sehan-e-dil pe

Chand qatray girain to sakoon milay

Magar tumhain pata hai

Baarishon kay honay se

Zard peelay paton ko

Kuch bhi to nahin milta

Woh barh awara urtay phirtay hain

Faasla nahin mit'ta , rasta nahin milta

Woh jo sehra main umeed thi baarishon kay honay ki

Woh toot hi jaati hai

Sehan-e-dil zard hi rehta hai

Baarishon kay honay se kuch nahin badalta hai

Bas haray bharray chaman 


Kuch aur shadaab ho jaatay hain

Magar tishna lab sairaab nahin hotay 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...