Sep 3, 2014

Baithay baithay kisi ki yaad main kho jana ab zaroori to nahin



Baithay baithay kisi ki yaad main kho jana ab zaroori to nahin
Woh be'wafa hai yeh  batana ab zaroori to nahin 

Apnay chaman ki taazgi phoolon k dam se hai 
Her phool se khushboo aana ab zaroori to nahin 

Mera dil toota hai yaaro ik sheeshay ki tarah 
Aawaaz ka aana ya na aana ab zaroori to nahin 

Alwida hotay waqat woh rasmi jumlay ki jaga 
Yeh keh gaya wada nibhaana ab zaroori to nahin 

Ae "dukhi" chorr woh tere muqadar main nahin 
Haath jogi ko dikhaana ab zaroori to nahin

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...