Woh de raha hai dilaasay to umar bhar kay mujhay
Bichar na jaye phir kahin udaas kar kay mujhay
Jahan na to na teri yaadon kay qadam hon gay
Dara rahay hain wohi marhalay safar kay mujhay
Hawa-e-dasht mujhay ab to ajnabi na samjh
Keh ab to bhool gaye raastay bhi ghar kay mujhay
Yeh chand ashk bhi tere hain shaam-e-gham lakin
Ulajhnay hain abhi haal-o-khud shaher kay mujhay
Dil-e-tabbah tere gham ko taalnay kay liye
Sunaa raha hai fasanay idhar udhar kay mujhay
Kuch is liye bhi main us se bichar gaya "Mohsin"
Woh door door se dekhaye tehar tehar kay mujhay
No comments:
Post a Comment