Sep 19, 2014

Bas ik wehshat ka saya hai


Meray dil kay nihaan khaano main kitnay lafz
Chaltay huye youn Bain kartay hain 
Keh meray her taraf cheekon ka 
Wehshat'naak shorish , phail jaata hai , stata hai 
Magar jab siskiyaan letay huye yeh lafaz main 
Kaaghaz ki aaghosh-e-meharbaan main 
Chupnnay kay liye , Tarteeb deti hoon 
Achanak yeh sabhi alfaaz youn chup saadh letay hain 
Keh goya boltay na hon 
Main khaali warq pe nazrain jamaye 
Qarb ki gehri andheri khamoshi ko 
APnay andar youn chupaati hoon 
Keh jaisay koi apnay zakham ko un se chupaata hai 
Jo ussay pyaar kartay hain 
MAgar is aik koshish se , na dil ka dard jaata hai 
Na koi hal nikalta hai 
Bas ik wehshat ka saya hai 
Jo her suu phail raha hai 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...