Dair tak baithay huye dono ne baarish dekhi
Woh dekhti thi mujhay bijli ki taaron pe latak'ti hui boondain
Jo taaqub main thi ik doosray kay
Aur ik doosray ko chhut'tay hi taaron se tapak jaati thi
Mujh ko yeh fikar keh bijli ka current
Chu gaya nangi kisi taar se to
Aag kay lag jaanay ka baais ho ga
Us ne kaaghaz ki kai kashtiyaan paani me utaari
Aur yeh keh kay baha di keh samandar main milain gay
Mujh ko yeh fikar , keh is baar bhi sailaab ka paani
Khud keh utray ga kohsaar se jab
Tor kay lay jaye ga yeh kachay kinaaray
Ouk main bhar kay woh barsaat ka paani
Adhbhari jheelon ko tarasti rahi
Woh bhout choti thi , kamsin thi
Woh masoom bhout thi
Aabsharon kay tranum pe
Kadam rakhti thi
Aur goonjti thi
Aur main umar ki fikar main gum
Tajurba hamraah liye
Saath hi saath main
Behta hua , chalta hua , behta gaya
No comments:
Post a Comment