Daastan-e-kul
Chupa deta main kisi taaq main
Kisi khaana-e-daraaz main
Ya lapait kar auraaq main
Mila deta kisi khaak main
Jo hota ayaan to na kholta
Keh yeh meri kitaab-e-zindagi
Ba-unwaan-e-hasil-e-zindagi
Anjaam-e-aashqui warq warq
Liye muntazir hai dard-o-karb
Jo hota gumaan to yeh sochta
Keh mere bakht-e-sitam saaz ne
Jo kiya tha darj naseeb main
Sab raqam jis kitaab main
Kiyon lagi wohi , mereay haath main
Par dard-o-gham kay ghaat ka
Mujhay ilam tha na aagahi
So ik adaa-e-saadgi
Se main ne kitaab-e-zeest ko
Khush khyaal lamhon main
Waqat waqat rok rok khola
Pehlay safhay pe khush rang-o-khush'numa andaaz se
Ik "lafz-e-roshan" tha likha
YEh lafaz shanaasa tha wohi
Jo rawaan tha her her rang main hi
Jissay harf harf sar-e-loh-e-jaan
Parha tha dil-e-zaar ne
Ussi lafaz-e-saya dar ne
Kuch maahni diye grifft main
Phir rakha ta'umar hisaar main
Ussi lafaz-e-kul ki keematein
(Wohi lafaz yehni mohabbatein )
Na kisi adaad-o-shumaar main
Palta jo warq aur ik
To darj thein wohi qeematein
Jin qeematon ki madd main hi
Mereay roz-o-shab sab qaid thay
Baaqi auraaq kitaab kay
Ya siyaah tahy , ya sufaid thay
MAin kitaab-e-taqdeer kay
Insaaf pe hairaan tha
Meeri aankh ashk'baar thi , mera jisam be'jaan tha
Ussi aalam-e-hairaangi-e-o-aalam-e-pur'soz main
Joun hi kitaab band ki
To ik lafaz aur darj tha
Yeh 'lafaz-e-siyaah' to azal se
Zehan-o-dil pe naqsh tha
Meri hayaat to goya
2 lafzon ka qarz tha
Woh jo ik sar-e-pushat tha , woh jo ik sar-e-warq tha
Mujh pe naseeb-e-zeest ka
Andha sa her ik faisala
Ab misaal-e-roz-e-awal-o-aakhir aashkaar tha
MAin naqsh ba'dewaar tha
So 2 lafzon pe mushtamil
Korri kitaab-e-zeest ko
Sar-e-taaq chup sa rakh diya
Keh shaam kay anjaam se
Sehar kay aaghaaz tak
Zeest se ajal ki
Aakhri awaaz tak
Daroonay -o-be'roonay zaat
Door tak phaili hui
Ayaan thein ab mujh pe sabhi
Bakhat ki siyaahiyaan
Sar-e-warq sabt, mohabbatain
Sar-e-pushat likha tha , judaiyaan
No comments:
Post a Comment