Umeed-e-wasal ki aahat se hum
Mann kay band dareechon ko
Khol kay bhout hi narmi se
Teray milan ki aas main raqsaan
Kitnay hi khush kun lamhay
Le kar apnay haathon main
Ban main ik juhnoo ki tarah
Teray shaher main poonchay thay
Sehra-e-imkaan main youn to
Kitnay khadshay bastay thay
Pyaar ki shiddat haavi thi
So kitnay baadal barsay thay
Mann main hoti barkha ko to
Shaher pe barsa dekh tha
Mousam meray andar ka
Baahir aa kar barsa tha
Mujh ko sara aalam rangeen
Dhanak main bikhra lagta tha
Her ja jaisay phool khilay hoon
Her ja aisa lagta tha
Jis ko hum ne apna jeewan
Rang-e-hayaat hi jaana tha
Teray wasal ka woh lamha bhi
Ik din to phir aana tha
Ujli ujli kirno si tu
Hum se milay ayi thi
Baatain teri khwaab ki surat
Aur un main gehraai thi
Dil ka her ik zakham to us din
Hum ne bhartay dekha tha
Tujh ko apni in aankhon se
Jadoo kartay dekha tha
Qos-e-qazah kay rangoon si tu
Mujh ko bikhri lagti thi
Sab rang thay phoolon jaisay
Jin main khushbooein basti thein
Teray qurb ki hiddat thi aur
Meray jazbay pighlay thay
Teri khaatar jee lenay kay
Kitnay pehlu niklay thay
Pehron baith kay hum ne youn hi
Ik doojay ko socha tha
Shayed haath ki raikhaaon main
Ik doojay ko khooja tha
Teri aankh main janay kitnay
Roshan jugnoo bastay thay
Teray lab kay saath hi dekha
Woh jugnoo bhi hanstay thay
Hanstay hanstay aik dam sy hi
Thora tu ghabraai thi
Hum ne teri aankh main jhaanka
Doori thi , judai thi ,
Palti tu to saath main tere
Wasal ka suraj utar gaya tha
Jis lamhay ko jeevan samjhay
Woh to pal main guzar gaya tha
Rabt-e-mousam mujh se tha kuch
Aisa gumaan hi guzra tha
Mann main mere khaak urri to
Her manzar hi dhoonda tha
Sara aalam mujh ko to phir
Apnay mann sa lagta tha
Tez hawa kay jhakar thay aur
Gham ka sawan phaila tha
Baarish kay woh baadal us shab
Yaad hai kitna barsay thay
Her shay hi sairaab hui thi
Aur hum kitna tarsay thay
Teray shaher kay aik konay main
Shakista'paa main hansta tha
Baarish kay aisay mousam main
Dukh ko kon samjhta tha
Teray shaher ki soorat tu bhi
Kitna hi anjaan raha tha
Teray shaher ki barkha rutt main
Ik dil phir veeraan raha tha
Teray shaher se paltay hum to
Saray khwaab Shakista thay
Hum ne wasal ko haara tha
Hijar kay teer pewastay thay
Shaher main urti khaak ne meri
aankhain sehraa kar di thein
Hum ne apni saari khushiyaan
Gham ky haath pe dhar di thein
Sehraa apni aakhon ko bas
Ashkon se hi dhoya tha
Mousam meray saath lipat kar
Khul kar us shab roya tha
No comments:
Post a Comment