Sep 14, 2014

Dil ek khwaab nagar hai jis main lamha lamha


Dil ek khwaab nagar hai jis main lamha lamha

Us kay sapnay band aankhon main naye dareechay waa kartay hain

Her chehray main us ka chehra rakh detay hain

Meray us kay beech hazaron dewaarain hain

Rasmon aur rawaajon ki

Be'gaano ki qaatil nazron aur apno ki baaton ki

Us ki be'parwahi ki aur apni pagal sochon ki

Kaali dushman raahon ki

Main is zaalam aandhi aur munh zor fiza main ik be'maya zarha tha

Jo apnay se laakhon main gum tha

Us kay khwaab ne meri aankhain roshan ki hain

Khamoshi main jaado hai to phir woh jado gar hai

Us ki chup ne meray dil ko natq diya hai

MAin qatra tha us ki zaat samandar hai

Us ki mohabbat ne mujh ko takhleeq kiya hai

Armaano ki banjh hawaein

Aankhon kay gum'naam jazeeron main jaati hain

Aur khwaish kay khushk darakhton ki shaakhon main

Saein saein karti hain

Mousam aankhain phair kay dil kay dard nagar se chal detay hain

Baadal veeranay pe ghir kar bin barsay chal detay hain

Us ky bina awaaz ki kirnain , aankahin , phool , sitaray , pathar

Khwaish jaado ki basti hai , murr kay dekho saray pathar

Dariyaaon kay dhaaray pathar

Woh aye to pathar ko awaaz milay

Shaher-e-sang kay darwazon ko waa karnay ka raaz milay

Dil ik khwaab nagar hai , is kay khwabon ko aaghaaz  mile

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...