Sep 14, 2014

Ik hijar se kiya azaad huye ,so hijar naye ijaad huye


Ik hijar se kiya azaad huye ,so hijar naye ijaad huye
Phir ik nazar siyaad bani
Aik nazar ka taahir said hua phir
Ashk ka dariya qaid hua

Phir dharkan main bhoonchaal paray
Phir ishq ka jogi galiyon main
Taqdeer ka saamp ....utha laya
Phir hosh ka jungle sabz hua , phir shouq-e-darinda jaag utha
Phir zulam kay taiwar shaam banay , Us shaam main phir mehtaab charha
Phir hont ki larzish geet bani , Phir saans ka naam saba tehra
Phir, Shair shaoor ka wird hua , phir zanjeerain zaiwar tehrein
Phir taqdeerain in'aam huyein

Phir khoon se likhay jazbon ki kuch tehreerain , neelaam huyein
Phir dard "Zulaikha" ban baitha , Phir Qurb ka karb jawaan hua

Tab mujh pe khula main zinda hoon , phir dil ko dharakna yaad aya
Kuch wisaal subhain shab khaiz huyein , kuch hijar ki nabzain tez huyein

JAb qaid ko taza umar mili Us qaid-e-umar kay bakhton ne
Aik shaam sehar se pooch liya

Majboor hi rehna tha to hamain woh , pichla hijar hi kaafi tha
Gar qaid-e-jahan hi apnaani thi
Kiyon pichlay jaal ko chora tha
Kis ehad pe pinjra... tora tha

JAb jaal teri kamzori thi , siyaad ko kiyon bad'naam kiya
Ab soch raha hoon muddat se

Kiyon mujh pe khula main zinda hoon .....
Dil ko dharakna yaad aya 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...