Dil-o-nigah pe kis tour kay azaab
utray
Woh mahtaab hi utra , na us kay
khwaab utray
KAhan woh rut ki jabeeno pe aftaab
utray
Zamaana beet gaya us ki aab-o-taab
utray
MAin ussay khul kay milon , soch ka
hijaab utray
Woh chahta hai meri rooh ka naqsh
utray
Udaas shab main , kari dopehar kay
lamhon main
Koi chraagh , koi surat-e-gulaab
utray
KAbhi kabhi tere lehjay ki shabnami
thandak
Smaa'ton kay dareechon pe khwaab
khwaab utray
Faseel-e-shaher-e-tamana ki sard
baailon par
Tera jamaal kabhi surat-e-shabaab
utray
Teri hansi main naye mousamon ki
khushboo thi
Naveed ho keh badan pe puraanay
khwaab utray
Sapurdagi ka mojassam sawaal ban kar
khailon
Misaal-e-qatra-e-shabnam tera jawaab
utray
Teri tarah meri aankhain bhi mohtabar
na rahein
Safar se qabal hi raaston main woh
saraab utray
No comments:
Post a Comment