Woh bhi kiya din thay keh pal main
kar diya kartay thay hum
Umar bhar ki chahatein , her ik
harjaaei kay naam
Woh bhi kiya mousam thay jin ki
nikhaton kay zaaiqay
Likh diya kartay thay khaal-e-khad ki
ra'anaai kay naam
Woh bhi sohbatein thein jin ki
muskurahat kay fasoon
Waqf tha ehal-e-wafa ki bazam-e-aarai
kay naam
Woh bhi kiya shaamain thein Jin ko
shohratein mansoob thein
Be'sabab khulay huye baalon ki
ruswaai kay naam
Ab keh woh rut hai keh her taza
qayamat ka azaab
Apnay jaagtay zakhmon ki gehraai kay
naam
Ab kay apnay aansoo'on kay sab
shakista aainay
Kuch zamanay kay liye , kuch tanhai
kay naam
No comments:
Post a Comment