Sep 4, 2014

Haath main kangan aankh main kajal awara ho ga


Jab sar-e-shaam us ne zulfon ko sanwara ho ga 
Haath main kangan aankh main kajal awara ho ga 

Us kay joray main saja woh surkh gulaab 
Raat sotay main kisi ne to utaara ho ga 

Aalam-e-tanhai main shab bhar karwatein lay kar 
Koi to ho ga jissay us ne pukaara ho ga 

Haye! woh neend main doobi hui makhmoor nigahein 
Jis ne dekha wahin dil apna woh hara ho ga 

Us kay be'taab laraztay huye honton pe "Wasi"
HAi yaqeen hum ko mavhalta hua naam hamara ho ga

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...