Sep 4, 2014

Tera muskuraata hua aana hum ko acha laga



Tera muskuraata hua aana hum ko acha laga 
Woh tera shram se guzar jana acha laga 

Door se dekhna woh tera paas aa kar 
woh tera nazrain jhukana acha laga 

Woh jo barson se teray seenay main qaid hai 
Woh tera Aankhon se batana acha laga 

Tera jaatay waqat mur kay na dekhna  
Phir qadmon ka ruk jana acha laga 

Tu falak ki tarah chaya tha mujh par 
Aaj woh falak ka toota tara acha laga 

Suna hai mohabbat main hotay hain her taraf andheray 
Aaj duniya ka woh qaul sacha laga


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...