Sep 28, 2014

Hum kabhi na kabhi mar jayein gay


Hum kabhi na kabhi mar jayein gay

JAb tum murr kay dekho gay

Tab hum nazar nahin ayein gay

Khusiyaan dhoondtay dhoondtay

Dukh kitnay uthaein gay

Raah main aanay wale sab

Mushkalon se takraain gay

Phir bhi hum ko nahin yaqeen

Tujh ko bhool jayein gay

Faisal is qissay ko hum

Kab talak dohraain gay

Tu ne hum ko jaana nahin

Pyaar hamara maana nahin

Shayed tu hum ko samjha sakay

Dil ko yeh samjhain gay

Hum kabhi na kabhi mar jayein gay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...