Sep 7, 2014

Jis ko aksar socha tha tanhai main


Jis ko aksar socha tha tanhai main
Shaamil hai woh shakhs meri ruswai main

Mujh se mat poocho woh chehra kaisa tha
Doob gaya main aankhon ki gehraai main

Jaagtay rehnay ki kitni targheebain thein
Us ki boojhal thakki hui angraai main

Tujh se aankh milaana kitna mushkil hai
Warna suraj ghul jayein beenai main

Pyaar bhi karta hai woh be'parwaahi se
Naadaani ka rang bhi hai daanai main

Woh ik pal ko rota to mehsoos hua
Jaisay beet gaya ik saal judai main

Jaao apnay jaisay log talaash karo
Kiya paao gay mohsin se harjaayi main

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...