Sep 7, 2014

Jab teri dhun main jiya kartay thay


Jab teri dhun main jiya kartay thay
Hum bhi chup chaap phira kartay thay

Aankh main pyaas hua karti thi
Dil main toofan utha kartay thay

Log aatay thay ghazal sunnanay ko
Hum teri baat kiya kartay thay

Sach samit'tay thay tere wadon ko
Raat din ghar main raha kartay thay

Kisi veeranay main tujh se mil kar
Dil main kiya phool khila kartay thay

Ghar ki dewaar sajanay kay liye
Hum tera naam likha kartay thay

Woh bhi din thay bhulaa kar tujh ko
Hum tujhay yaad kiya kartay thay

Jab tere dard main dil dukhta tha
Hum tere haq main dua kartay thay

Bujhnay lagata jo chehra tera
Daagh seenay main jala kartay thay

Apnay jazbon ki kamandon se tujhay
Hum bhi taskheer kiya kartay thay

Apnay aansoo bhi sitaaron ki tarah
Tere honton pe saja kartay thay

Chairta tha gham-e-duniya jab bhi
Hum tere gham se gilla kartay thay

Kal tujhay dekh kay yaad aya hai
Hum sukh'noor bhi hua kartay thay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...