Sep 7, 2014

Khud apna bharam mujh ko mukarnay nahin deta


Khud apna bharam mujh ko mukarnay nahin deta

Main dil main teri yaad ko marnay nahin deta

Sailaab sa rehta hai meri aankhon main jaari

Main ashk kay dariyaon ko utarnay nahin deta

Rakhta hoon dil-o-jaan ko yak'jaa teri khatar

Ukhrri hui saanson ko bikharnay nahin deta

Karta hoon wohi kaam jo takdeer ki zid ho

Main khud koi kaam sanwarnay nahin deta

YEh soch kay tabeer ki khalish na sataaye

MAin khwaab ko apni aankhon se guzarnay nahin deta

Her raah main raqsaan hain kai khouf kay saaye

Yeh khouf hi raastay se guzarnay nahin deta

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...